kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN
kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN naqsh-e-maazii miTe-miTe se
vo aazmaaiish dil-o-nazar kii, vo qurbateN sii, vo faasile se
kabhii-kabhii aarzuu ke sehraa meN aa ke rukte haiN qaafile se
vo saarii baateN lagaao kii sii, vo saare unvaaN visaal ke se
nigah-e-yaar ko qaraar kaisaa, nishaat-o-Gham meN kamii kahaaN kii
vo jab milte haiN to unse har baar kii hai ulfat naye sire se
bahut giraaN hai ye aish-e-tanhaa, kahiiN sabuktar, kahiiN gavaaraa
vo dard-e-pinhaaN ke saarii duniyaa rafiiq thii jiske vaaste se
tumhiiN kaho rind-e-mustahib meN ho aaj shab kaun farq aisaa
ye aa ke baiThe haiN mai-kade meN, vo uTh ke aaye haiN mai-qade se
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
ishq bekaar, muhabbat barbaad
shoalaa-e-dil kii
ishq bekaar, muhabbat barbaad
shoalaa-e-dil kii haraarat barbaad
maiN use bhuul na paayaa ab tak
saal-haa saal kii mehnat barbaad
ko’ii suntaa hii nahiiN qissaa-e-dard
harf barbaad, hikaayat barbaad
vo hai naaraaz abhii tak mujh se
minnateN zaa’yaa, samaajat barbaad
us pe khultaa hii nahiiN haal meraa
saarii tashriih-o-vazaahat barbaad
kaun barbaad karegaa mujh ko
maiN huuN Khud apnii ba-daulat barbaad
ab bhii haiN uskii galii ke phere
baarish, sang-e-malaamat barbaad
ab bhii aabaad haiN yaadeN uskii
ehtimaam-e-Gham-o-furqat barbaad
be-talab us ne talab kii puurii
ho gayii saarii ibaadat barbaad
maut ko bhii tuu parakh kar dekh
ziist barbaad, nihaayat barbaad
haasil-e-jazb-e-vafaadaarii “SaaMer”
zaa’yaa, bekaar, akaarat, barbaad
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
jism-o-jaaN par guzar gayiiN
jism-o-jaaN par guzar gayiiN sadiyaaN
mujh ko paamaal kar gayiiN sadiyaaN
vaqt kii tez aaNdhiyoN meN kahiiN
gard ban kar bikhar gayiiN sadiyaaN
raf’atoN se giraa thaa ek lamhaa
pastiyoN meN utar gayiiN sadiyaaN
thii ajab inquilaab-e-vaqt kii maar
ek do pal meN mar gayiiN sadiyaaN
ham khaRe dekhte rahe “Makhmoor”
sa’atoN meN guzar gayii sadiyaaN
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
vo niiNd kii tarah narm
vo niiNd kii tarah narm sabzaa
KhvaaboN kii tarah ramiidaa shabnam
phuuloN kii tarah shaGhuftaa chehre
Khushbuu kii tarah latiif baateN
kirnoN kii tarah javaaN tabassum
shoale kii tarah dahaktii Khvaahish
taaroN kii tarah chamaktii aaGhosh
saaGhar kii tarah chalakte siine
sab qaafilaa-e-’adam ke raahii
vaadii-e-’adam meN chal rahe haiN
taariikiyoN ke khile haiN parcham
lamhoN ke chiraaGh jal rahe haiN
har laamhaa hasiin aur javaaN hai
har lamhaa faroGh-e-jism-o-jaaN hai
har lamhaa aziim-o-jaavidaaN hai
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
farz karo ham ahl-e-wafaa hoN,
farz karo ham ahl-e-wafaa hoN, farz karo diivaane hoN
farz karo ye donoN baateN jhuuTii hoN afsaane hoN
farz karo ye jii kii biptaa jii se joR (?) sunaayii ho
farz karo abhii aur ho itnii aadhi ham ne chhupaayii ho
farz karo tumheN Khush karne ke dhuuNde ham ne bahaane hoN
farz karo ye nain tumhaare sach-much ke maiKhaane hoN
farz karo ye rog ho jhuuTaa jhuuTii peet hamaarii ho
farz karo is peet ke rog meN saaNs bhii ham pe bhaarii ho
farz karo ye jog-bijog kaa hamne Dhong rachaayaa ho
farz karo bas yahii haqiiqat baaqii sab kuch maayaa ho
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
din ek sitam, ek sitam
din ek sitam, ek sitam raat karo ho
wo doast ho dushman ko bhi tum maat karo ho
ham khaaq-nashiiN, tum suKhan-aaraa-e-sar-e-baam
paas aa ke milo, duur se kyaa baat karo ho
hamko jo milaa hai, wo tumhiiN se tau milaa hai
ham aur bhulaa deiN tumheiN, kyaa baat karo ho !
daaman pe ko’ii chhiiNt, na Khanjar pe ko’ii daag
tum qatl karo ho ke karamaat karo ho
bakne bhi do Ajiz ko, jo bole hai so bake hai
deewaana hai, deewaane se kyaa baat karo ho
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
udaasii ke chehre paRhaa mat
udaasii ke chehre paRhaa mat karo
Ghazal aaNsuuoN se likhaa mat karo
bahar-haal ye aag hii aag haiN
chiraaGoN ko aise chhuaa mat karo
du’aa aaNsuuoN meN khilaa phuul hai
kisii ke liye bad-du’aa mat karo
tumheN log kehne lageN be-vafaa
zamaane se itnii vafaa mat karo
agar vaaqaii tum pariishaaN ho
kisii aur se tazkiraa mat karo
Khuda ke liye chaaNdni raat meN
akele akele phiraa mat karo
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
jo bhii ghar se jaataa
jo bhii ghar se jaataa hai
ye kah kar hii jaataa hai
“dekho, mujh ko bhuul na jaanaa
maiN phir lauT ke aauuNgaa
dil ko acche lagne vaale
laakhoN tuhfe laauuNgaa
naye naye logN kii baateN
aa kar tumheN sunaauuNgaa”
lekin aaNkheN thak jaatii haiN
vo vaapis nahiiN aataa hai
log bahut haiN aur vo akelaa
un meN gum ho jaataa hai
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
kya khoob shairee hai
khiltee es
kya khoob shairee hai
khiltee es se zindagee hai
sms jo aap ne hai baija
hai ye phoolon kee kali hai
(( fazal elahi khan ,, 03028308713 ))
Jis ki ankhain muj ko
Jis ki ankhain muj ko andar say b parh sakti hoin,
Koi chayhra to mayray shahar main asa la dy.
Chaand to nikla hai magar
Chaand to nikla hai magar yeh raat na hai pehli si,
Yeh mulaaqaat, mulaaqaat na hai pehli si,
Ranjh kuchh kum to hua aaj teray milne se,
Yeh alag baat ke yeh baat na hai pehli si.
kal bhicharna hai to ahd_e_wafa
kal bhicharna hai to ahd_e_wafa soch ke bandh,
abhi aaghaz_e_muhabbat se gaya kuch bhi nahin,
men to is waste chup hoon ke tamasha na bane,
too samjhta hai mujhe tujh se gila kuch bhi nahin
Her kisi ko chahna mayri
Her kisi ko chahna mayri fitrat main nahe,
Ik tum say muhabbat mujay virsa main milli ha.
Tum takaluf ko b ahkhlas
Tum takaluf ko b ahkhlas samajtay ho Fraz,
Dost hota nahe her haat milanay wala.
ham unheN vo hameN bhulaa
ham unheN vo hameN bhulaa baiThe
do guneh-gaar zahar khaa baiThe
haal-e-Gham kah ke Gham baRhaa baiThe
teer maare the teer khaa baiThe
aandhioN jaao ab karo aaraam
ham Khud apnaa diyaa bujhaa baiThe
jee to halkaa hu’aa magar yaaroN
ro ke lutf-e-Gham gaNvaa baiThe
be-sahaaroN kaa hauslaa hii kyaa
ghar meN ghabraaye, dar pe aa baiThe
uTh ke ek be-vafaa ne de dii jaan
rah gaye saare baa-vafaa baiThe
jab se bicchRe vo, muskuraaye na ham
sabne chheRaa to lab hilaa baiThe
hashr kaa din abhii hai duur “Khumar”
aap kyuN zahidoN meN jaa baiThe
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Humein bhi shaam hi sy
Humein bhi shaam hi sy ghair leti hay pareshaani
Parindon ki tarha hum bhi gharo ko lot aaty hein
Tawaqqa thi kay koi lott kar aay gaa jeety jee
Magar ye lotna orr mott aa jaana achaanak hay
Smander sy kabhi poocho tumhein ro kr bataay ga
Koii esa nahin thaa jo talaatum ko samajh paata
Tumhein apnay kisi sukh ka nasha hoga magar yaro
Humein bhi naaz hay apny dukhon ki dilrubaai kaa
Meri deewangi wo dekhh aai hay kay Farhat jee
Tamanna ki musaafat ab musaafat hi nahin lagti
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
lab pe tere iqraar-e-mohabbat sher
lab pe tere iqraar-e-mohabbat sher Gazal kaa lagataa hai
sharm se cheharaa laal gulaabii phuul kamal kaa lagataa hai
dil ko najar se Takaraaye bhii ek zamaanaa biit gayaa
choT magar hai itanii taazaa haadasaa kal kaa lagataa hai
beKhud ho kar mast havaaye.n aise kab laharaatii thii.n
ye jaaduu to halkaa halkaa us aa.Nchal kaa lagataa hai
ham samajhe the bhuul gaye hai.n vo chaahat kaa afasaanaa
aaj magar phir dard saa dil me.n halkaa halkaa lagataa hai...........0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
log har morh pe ruk
log har morh pe ruk ruk ke sambhalate kyuuN hain
itanaa Darate hain to phir ghar se nikalate kyuuN hain
mai.n na juganuu huuN diyaa huuN na ko_ii taaraa huuN
raushanii vaale mere naam se jalate kyuuN hain
niind se meraa ta'alluq hii nahiin barason se
Khvaab aa aa ke merii chhat pe Tahalate kyuuN hain
mo.D hotaa hai javaanii kaa sambhalane ke liye
aur sab log yahiin aake phisalate kyuu hain
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
roz sochta houn k kia
roz sochta houn k kia karoun
roz wo hi baat bhool jata houn
tumhe bhoolnay ki kasak karta houn
To apna hi wajood bhool jata houn
Us sheher say na janay ab dil ghabrata hai mera
Jahan say meri galio ka rasta teri ower jata hai
Ajnabi sheher hai basera mera kuch din k lye
Tanha houn mai yahan kuch din kay lye
Apnai sheher ki yaadain hain abhi taza
Phir bhi lot janay ko dil nahi chahata
Jahan say guzer hay tera wahan
ab basnay ko dil nahii chahata
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
In guzarti shamon mein
kesi beqarari
In guzarti shamon mein
kesi beqarari hai,
In guzarti shamoon mein
aik aik pal bhari hai,
Dil ub k lagta hai
hum sey rooth jaye ga,
Tum sey jo aik ta'aluq hai
woh bhi toot jaye ga,
hum udas kitne hain...........
Yun to aik arsay sey
tum sey door rehtey hain,
yun to aik arsay sey
yeh azab sehtey hain,
lakin ub judai ki
talkhiyan naye se hain,
teh-dar-teh,rooh main
khamoshiyan, naye se hain
hum udas kitne hain...........
tum talak pohanchne ka
na tha ikhtiyar pehle bhi,
is qadar hi mushkil tha
intezar pehle bhi.......
bin merey ghar sara
pur-malal rehta hai,
kuch to tum bhi likh bhejo,
kesa haal rehta hai,
tum to jante ho gay
hum udas kitne hain........ 0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
MENE USKO TOOT K CHAAHA
MENE USKO TOOT K CHAAHA DIL KA SHEESHA TOOT GAYA
AANKH ABHE LAGNAY NA PAAI THI SAPNA MERA TOOT GAYA
PEHLAY PEHAL TO DIL KO USKI YAADON NAY BEHLAYEY RAKHA
OR PHIR DHEERAY DHEERAY YE YAADON KA SILSILA BHE TOOT GAYA
PEHLAY DIL PHIR USKI DOORI OR PHIR SAANSAIN TOOT GAIEN
IK NAATA KIYA TORA TU NAY, JANAY KIYA KIYA TOOT GAYA ..........0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
sakoon bhi khawab howa neend
sakoon bhi khawab howa neend bhi hai kam kam phir...
qareeb aanay laga doriyoon ka mousam phir...
bana rahi hai teri yaad mujko silk_e_gohar
paro gae meri palkoon main aaj shabnam phir...
who narm lehjay main kuch keh raha hai phir mujsay
chira hai payar kay komal suroon main madham phir...
tujay manaoon kay apni ana ki baat sunoon
ulaj raha hai miaray faisloon ka raisham phir...
na uski baat main samjoon na who meri nazrain
muaamlat_e_zuban ho chalay hain mabham phir...
who aik lamha kay jab saray rang aik howay
kisi bahanay daikha na aisa sangam phir...
bohot azeez hain aankhain meri usay,laikin
who jatay jatay inhain kar gaya hai purnam phir..
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Tum door ho to kia
Tum door ho to kia hay.
Teri khushbo meray sath hay, Tera lehja meray sath hay,
Teri Batain meri hamsafar, Teri Yadain meri rahguzar.
Tum Door ho to kia hay.
Har Lamha meray pas ho, Meray jenay ki tum aas ho,
Meri zindagi meri justaju, meri dharkan meri arzoo.
Tum door ho to kia hay.
Sath tera saya hay, Dil ko ye samjhaya hay,
Jo apny hain wo bhola nahi kartay, Bhed dil k kbhi khola nai karty.
Tum Door ho to kia hay.......0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
chahay jitna bulaao gay wapas
chahay jitna bulaao gay wapas na aaon ga mai
aasmaan ki banhoon mai sama jaaon gaa mai
dekhna yiuonhe hanstay khailte yiuonhe muskuratay hooye
kisi rooz chup chaap se chala jaaon gaa mai
na jaane mujhe yaad keray gaa bhe koi ke nahin
na maloom kisi ko yaad aaon ke na yad aaon ga mai
shayad ke hoo jaye meray liye bhe koi aankh pur num
shayad kisi ko ashkoon ka tuhfa day jaaon ga mai
boohat tadpa hoon mai sab ke kareeb reh reh kay
ab door jaa ke sab ko tadpaaon gaaaaa mai
zara zara si baat pe ye rooth jaati hay mujh se
dekhna kisi rooz zindage se rooth jaaon gaa mai
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Tum mujhe bhoolnay ki koshish
Tum mujhe bhoolnay ki koshish karogay
lekin bhool na pao gay
haath thaam na sako gay kisi aur ka
gar thaamna chaaho gay
Kisi aur ki ankhon main jhaanko gay
to mera hi aks dikhaayee dayga
mujhse nazrain churaogay to khwab main
bichra shaks hi dikhaaye dayga
tanhayee main chupke se chalee aayeegee meri yaad
tum laakh daaman chudao gay
na choarygee tera saath tum udaas udaas phira karoge
guzray lamho
guzray lamhon main jiya karoge
meri yad tarpayegee lekin
meri yaad main hi raha karoge
ab bhi chorna chaaho to chor do mera saath
lekin yaad rakho chor ker bhi yeh saath chor na sakoge
mujhse to moo mor loge
meri yaad se moo mor na sakoge..!!
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
us ko mara halka sa
us ko mara halka sa ahsas to ha
bedard sahi wo mara hamraaz to ha
wo aaye na aaye mara pass laikin
shiddat sa muja us k aintizaar to ha
abhi nahi to kia howa mill hi jaye ga kabhi
mara dill ma us k milna ki aas to ha
pyar ki gawahi mari aankhun sa na mang
barasti nahi aankhain magar dill udass to ha...
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Tera dard tha, teri yaad
Tera dard tha, teri yaad thi,
Main jahan raha, main jidher gaya,
Mera din tu yunhi guzar gaya,
Junhi sham hoi main bikhar gaya,
Is abar ka mere yaar say
bara milta julta mizaj hai,
Kabhi tot k baras gaya,
Kabhi berukhi say guzar gaya,
Jab main chhor donga wo gali,
Usay yaad aay gi tub meri,
Dhondhay ga wo gali gali,
Usay milay gi khaber K main mar gaya,
Abi tang hai wo meray naam say,
Mere baad wo aye ga, dosto.
Tumhe ko rook k pochay ga wo,
Wo kahan pe ha?
Wo kidher gaya?
Usay milay gi khaber k mai mar gya......
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Roz Taron kee numaaish mein
Roz Taron kee numaaish mein khalal padta hai
Chand paagal hai andherey mein nikal padta hai
Unkee yaad aayee hai saanso zara ahista chalo
dhadkano se bhi Ibaadat mein khalal padta hai...
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Ye roshni kahan se aati
Ye roshni kahan se aati hai, savera kahan hua hai
Ab tak to mai hi teri hoon, tu mera kahan hua hai
Dour tak faqad ujaale hi to hain meri raahun main
Phir na jaane zehen main andhera kahan hua hai
Saari duniya mere ranj main doobi jaati hai aksar
Dard ka ye rang kabhi, itna gehra kahan hua hai
Har lamha hansi bikherne wale sun zara meri bhi
Ek lamha khushi ka bhi, kabhi tera kahan hua hai
Kaise keh dein ke ye aansun khushi ke hain hum
Lahoo ka rang bhi kabhi, sunehra kahan hua hai
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
kisi kay ghum main waqar
kisi kay ghum main waqar khona,,
koi sunay ga to kiya kahay ga..
shab bhar jagna or din ko sona..
koi sunay ga to kya kahay ga,,
kashti banwar main duub jati..
to baat tum par kabi na atti,,
mujhay sahil pay la dabona,,
koi sunay ga to kiya kahay ga,,
ji main aya to khub khaila,,
nazar se utara to torr dala,,
kisi ka dil bi kiya hai khilona ,,
koi sunay ga to kiya kahay ga,,
hum ne kaha daro khuda se,,
agar khudai ka darr nahi,,
to hans kar bolay,,
chup raho na,,
KOI SUNAY GA TO KIYA KAHAY GA
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Yun Milke Mulakat na Ho
Yun Milke Mulakat na Ho saki...
Hontt kampe magar baat na hosaki...
Meri khamosh Nigah har baat keh gayi...
Aur unki shikayat hai ki baat na ho
saki....." 0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
mai rahi hoon rah-e-adam ka
mai rahi hoon rah-e-adam ka mujhe zindgi ki fikar nahi
mai ji raha hoon is ghari mujhe aglay pal ki khabar nahi
mai beta hoon hawaon ka mujhe koii bhi pakar na sake
yunhi phirta hoon gali gali mera kahin pe koii ghaar nahi
sochta hoon kiya chal sake gain mere saath ehbab mere
chala hoon aankh band kar ke mujhe rastun ki khabar nahi
mai kho gaya hoon khud say hi ,mujhe apni hi talash hai
chal raha hoon dhoop main mere sar pe koii Aabar nahi
mere pas yunhi baithe raho mere dil pe hath dharo zara
mere dil ko thora karar do meri wehshatun ko sabar nahi
ye kitab dil ki kitab hai isse samajhte hain samajhne wale
ye falsafa hai muhabbtun ka yahan koii zair-o-zabar nahi .............. 0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
pehle zakham lagate hain phir
pehle zakham lagate hain phir zakham siya kerte hain,,
yea apno ka kaam hai apne hi kia kerte hain
bher jate hain jab zakham purane aye dost,,
tu phir yea ek naya zakham diya kerte hain,,
yea pehle khud se begana kerte hain hum ko,,
phir khud bi guth guth ke giya kerte hain,,,,,
kabi rekhte hain zakhmoon ke beraber merham payar ka,,
aur kabi vo merham hi chean liya kerte hain,,
apne tu apne hain apno se shikayat kese Saqi,,
apne hi apno ko payar main ruswayi diya kerte hain,..... 0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588