Humari Shhuraton Ki Maut Be
Humari Shhuraton Ki Maut Be Naam O Nishan Ho GI
Na Koi Tazkara Hoga Na Koi Dastan Hogi
Agar Main Lautna Chahon Tu Kia Laut Sakta Hoon
Woh Duniya Jo Sath Mere Chali Thi Ab Kahan Hogi
Kar Lo Khoob Maze Abhi Is Duniya Main
Jawani Char Din Ki Chandini Hai Phir Kahan Hogi
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Yun teri tammana mere dil
Yun teri tammana mere dil ko dukhaati rahi...
Jab bhi muskuraana chahaa aankh bhar aati rahi,
Umeedon ne banaa-banaa ke tode mere khuwaab...
Baharon mein dil ki kali khil khil ke murjhaati rahi,
Thar-rati rahi ye sard palken garm ashqon se...
Aag paani se mil ke dhuven khoob udaati rahi,
Na milaa koi saharaa hi na thaama kisi ne haath...
Zindagi kadam-kadam pe thokaren khaati rahi,
Ab kuch nahin hai baaki unki chaahat ke sivaa...
Aise gaye hain woh ke dil ki har khushi jaati rahi,
Honth to dekhe mere tune muskuraate ae sanam...
Zara dekh leta aankh bhi jo ashq bahaati rahi,
Wo khaa kar gaya tha kasmein ise bhuul jaane ki.n
~SHAFAQ~ ko phir bhi uski yaad kyon aati rahi?
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Tumhay jaana ijazat hay
koi bhi
Tumhay jaana ijazat hay
koi bhi fesla kerlo
hamarey muntazir tehro
ya humko alwida kehdo
hamarey naam se mansoob kerlo naam ko apnay
ya apna naam dey k tum kissi k meet ban jao
tumhay janaa ijazat hay
koi bhi fesla kerlo
hamarey paaon may tu waqt ki zanjeer lipti hai
buhat nidhaal hain hum tu dukhon ki aazmayesh may
buhat mumkin hai thak jao hamarey saath chal ker tum
muhabbat ki thakawat tumko humse badgumaan kerdey
tu is se qabal k her ek wapsi ki rah kho jaay
jo socha bhi nahi humne kabhi wo kal ko hojay
tumhay janaa ijazat hay
koi bhi fesla kerlo
hamara tumse wada hai, tumhari yaad ko hum tu
sadda dil k darechay may yonhi aabad rakhay gain
k dil tuta rahy her pal labbon ko shaad rakhain gain
tumhay janaa ijazat hai
koi bhi fesla kerlo
tum apnay hosloon may jab thakawat c kabhi paao
ulajh jao masa'yil may, wafa ko na nibha paao
kissi pyarey se mukhray ki haseen aankhon may kho jao
ijazat hay tumhay janaa
ager is pal jo tum chahoo
koi bhi fesla kerlo
hamarey muntazir tehro
ya humko alwida kehdoo!!!!
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Khuwab Jhoote Kisi Ko Dikhaya
Khuwab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte
Mere Dost! Yun Kisi Ko Satya Nahi Karte
Ek Baar Yun Kisi Ko Keh Ker Apna
Daman Phir Us Se Churaya Nahi Karte
Us ke Intezaar Se Bhala Kya Ho Ga Haasil
Aane Ka Keh Kar Bhi Jo Aya Nahi Karte
Rakhte Hon Jo Dard Bhara Dil Apne Seene main
Dosron Ka Dil Phir Woh Dukhaya Nahi Karte
Do Qadam Saath Chal Ker Jo Judda Ho Jayen
Aise Logon Ko To Humsafar Banaya Nahi Karte
Kis Tarhan Guzarti Ho Gi Zindagi Unnnnn ki
Pehli MOHABBAT Ko Jo Dil Se Bhulaya Nahi Karte
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Kya Khabar thi k main
Kya Khabar thi k main is darja badal jaon ga
Tujhe ko kho don ga teray Gham se sambhal jaon ga
Ajnabi ban k milon ga main tujhe mahfil main
Tu nay cheri bhi to main baat badal jaon ga
Dhond paaye na jahan yaad bhi teri mujh ko
Aaisay jungle main kisi roz nikal jaon ga
Zid main aaye hoye mosam say bachchay ki tarhan
Khud hi kashti ko dubonay pay machal jaon ga
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
MAIN US KI ZAAT PER
MAIN US KI ZAAT PER AISE YAQEEN RAKHTA HON
K JAISE QADMON K NEECHE ZAMEEN RAKHTA HON
HAQEQATON KI TO BAD SOORTI HAI APNI JAGA
MAGER MAIN KHAWAB BOHT DIL NASHEEN RAKHTA HON
YE DIL TO MER CHUKA LEKIN WO KHAWAB ZINDA HAI
MAKAN TO NAHI RAKHTA,MAKEEN RAKHTA HON
ZAMEER MERA MUJE ROSHNI DIKHATA HAI
SADAQATON MAIN GUNDA IK AMEEN RAKHTA HON
YE NAZ HAI KOI NADAN MERA DOST NAHI
YE FAKHER HAI K MAIN DUSHMAN ZAHEEN RAKHTA HON .............. 0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
do din hi sahi vo
do din hi sahi vo mera mehmaan tu rehta
Phir rehta agar ghar mera veeran tu rehta
khojati hawaon mein teri aakhri tehreer
dil ko tere iqrar per iman to rehta...
phir milne ka waada bhi badi baat hai ay dil
phir kon mila lekin yeh ehsaan to rehta...
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Tu kisi aur ki jageer
Tu kisi aur ki jageer hai aye jan-e-ghazal
log tufan utha dain gey mere sath na chal
pehle haq tha teri chahat ke chaman pe mera
pehle haq tha teri khushbo-e-badan pe mera
ab mera piyar tere piyar ka haqdar nahi
main tere gesu o rukhsar ka haqdar nahi
ab kisi aur ke shano pe hai tera anchal
log tufan utha dain ge mere sath na chal
main tere piyar se ghar apna basaon kese
main teri mang sitaron se sajon kese
meri kismat me nahi piyar ki khushbo shaid
mere hathon ki lakeeron me nahi tu shaid
apni taqdeer bana mera muqaddar na badal
log tufan utha dain ge mere sath na chal
mujh se kehti hain ye khamosh nigahen teri
meri parwaaz se unchi hian panahgahen teri
aur gheraat e ehsaas pe shaarminda hun
ab kisi aur ki bahon me hian bahain teri
ab kahan mera thikana hia, kahan tera mehel
log t ufaan utha dain ge mere sath na chal.
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Khushbuu hai vo to chhuu
Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye
is Khauf se vo saath nibhaane ke haq me.n hai
khokar mujhe ye la.Dakii kahii.n dukh se mar na jaaye
palko.n ko us kii apane dupaTTe se po.Nch duu.N
kal ke safar me.n aaj kii gard-e-safar na jaaye
mai.n kis ke haath bhejuu.N use aaj kii duaa
qaasid havaa sitaaraa ko_ii us ke ghar na jaaye
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
jab.....
jab shab kay shikasta zeenoon
jab.....
jab shab kay shikasta zeenoon say mehtab uternay lagta hay
jab Gham kay sard alao main umeedain jalnay lagti hain
jab dil kay shor e samander main awazain marnay lagti hain
jab mosam hath nahin atay jab titli baat nahin kerti
jab zinda rehna aik bemaani kaam dikhayee deta hay
jab anay wala her lamha dushnam dikhaee deta hay
jab yaad kay gehray sanatay main chehray gum ho jatay hain
jab dard say bojhal ankhoon main gardab say pernay lagtay hain
jab shamain gul ho jati hain jab khwab bikhernay lagtay hain
US WAQT AGER TUM A JAOO!!!!!! 0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
koi wada nahi hum main
na
koi wada nahi hum main
na aapas main bohat baatain
na milnay main boht sho'khee
na aakhir shub manajaatein
mager ik ankahee se hai
jo hum dono samghtay hain
yeah saray dil ruba manzar
tilismee chandni raatein
ya halkay sukh ki bersatein
sub hi ik zid main rehtay ahin
mujahy peyham yeh kehtay hain
mohubbat youn nahi achi
mohubbat youn anhi achi
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Socha naheen accha bura...Dekha suna
Socha naheen accha bura...Dekha suna kuch bhee naheen
Manga khuda say hur waqt...Teray siwa..... Kuch bhee naheen!
Dekha tujhey chaha tujhey...Socha tujhey pooja tujhey
Meri wafa meri khata.... Teri khata kuch bhee naheen!
Jis par hamari aankh nay...Moti bichayey raat bhar
Bhaija wahee kaghaz usay...Ham nay likha Kuch bhee naheen
Aur aik shaam kee dehleez per...Baithay rahay woh dair tak
Aankhon say kee batain bohat...Munh say kaha kuch bhee naheen!
Do chaar din kee baat hay...Dil khak mein mil jaeyey ga
Aag per jab kaghaz rakha...Baqee bacha ..... Kuch bhee naheen ..... 0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Mera lafz lafz Duaa Duaa
Mere
Mera lafz lafz Duaa Duaa
Mere Aanso'on se dhula hua
Tujhey Zindagi ki wo Seher miley
Tujey Aaino ka Safar miley
Tujhey Gird-e-Ghum kabi chhoo na sake
Mere Dil mai hi tuu chupi rahey
Mere Aashna mere Hum-Nasheen
Yeh Duaa hai koyee Gila nahi
Tujhey Zindagi mai wo sukoon miley
Jo mujhe kabi mila nahi
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
aa bhii jaao kii zindagii
aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai
vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai
jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai
aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai
tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii 'Zindagii' kam hai 0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
MEIN KIS HAWA MEIN UROON
MEIN KIS HAWA MEIN UROON KIS FIZA MEIN LEHRAON,
MUJHEY YE KON SEY RASTEY LAGA GAYA IK SHAKS.
TAMAM RANG MEREY AUR SAREY KHUWAB MEREY,
FASANA THEY K FASANA BANA GAYA IK SHAKS.
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Jaanay khun loog pyar KARTAY
Jaanay khun loog pyar KARTAY HAIN
Saach poocho tu waqt barbaad KARTAY HAIN
Kia rakha hai aisey fuzool kamoon main
Ratoon ki neend apni haraam KARTAY HAIN
Kuch nahi milta dil laganay main
Jeena aur bhi apna dushwaar KARTAY HAIN
Jhoot hain sab ishq-o-pyar ki baateein
Yeh lafzz kitaboon hi main sajaa KARTAY HAIN..
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Lafzo main fasaney dhoondte hain,Lamho
Lafzo main fasaney dhoondte hain,Lamho main zamanedhoondte hainTum zeher bhi do Magar Pyar se dostHum to marney k bahaney dhoondte hain...
"~' DON '~"
"~' 0321-4288314'~"
ROSHNI" kab kam hui pata
ROSHNI" kab kam hui pata na chala. "KHUSHI"kab gum hui pata na chala. Tumhari "YAAD" me khoye kuch is tarah. "AANKH" kab nam hui pata na chala...
"~' DON '~"
"~' 0321-4288314'~"
Kabhi yaad aao to iss
Kabhi yaad aao to iss terha
ke laho ki saari tamazatein
tumhein dhoop dhoop samait lein
tumhein rung rung nikhaar dein
tumhein harf harf mein soch lein
ke deyaar-e hijer ki teergi
ko palak ki nok se noch lein
kabhi yaad aao to iss terha
ke dil-o nazar mein sama sako
kabhi had se jub yeh junoo berhay
to hawas bun ke bikher sako
kabhi khul sako shab-e visel mein
kabhi khoon-e dil mein sanwar sako
sir-e rahguzar jo milo kabhi
na theher sako na guzar sako
mera dard phir se ghazal banay
kabhi gungunao to iss terha
mere zakhm phir se gulaab hon
kabhi muskuraao to iss terha
meri dharkanein bhi laraz uthein
kabhi chot khaao to iss terha
jo nahin to phir baray shoq se
sabhi rabtay , sabhi zabtay
kabhi dhoop chaaon mein tor do
na shikast-e dil ka sitam kaho
na suno kisi ka azab-e jaan
na kisi se dil ki qalish kaho
yuun hi khush raho yuun hi kush phiro
na ujer sakein na sanwar sakein
kabhi dil dukhaao to iss terha
na simat sakein na bikher sakein
kabhi bhool jaao to iss terha
KISI TAUR JAAN SE GUZAR SAKEIN
KABHI YAAD AAO TO ISS TERHA!!
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
DEKHO JAISY MERE ANKHEN"
Yeh omer
DEKHO JAISY MERE ANKHEN"
Yeh omer tumhare aise hai
Jub asman sy tary toor k ly ana bhi
Such much mumkin lagta hai!
Sher ka har abad ilaka
Apna angan lagta hai
Youn lagta hai jaisy har din
Har ik manzer
Tum sy ijazat ly kar apni shakal mouen karta hai!
Jo chaho woh ho jata ahi, jo soco, woh ho sakta hai!
Lakin ay is kache umer ki barish ma mastana firte, chanchal larki!
Yeh badil jo aj tumhare chat per rok kar tum y baten karta hai
Ik saya hai,
Tum sy pehly or tumhary bad k har ik moosam ma yeh
Har ik chat per aisy hi or isi tarha sy
Dhoky bant'ta firta hai
Subh-e-azal sy sham-e-abad tak!! aik hi khel or aik hi manzer
Dekhny wale ankhon ko har bar dikhaya jata hai
Ay sapnon ki sejh py sony jagny walee piyare larki!
Tery khawab jabeen,
Lakin itna dhyan ma rakhna jeevan ki is khawab sra k sary manzer
Waqt k qede hoty hain jo, apni roo ma
In ko sath liye jata hai or mehmeez kiye jata hai
dekhny wale ankhen peechy reh jate hain
Dekho --- Jaisy --- Mery Ankhen
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Barsat m hum pani ban
Barsat m hum pani ban kr baras jay gayPatjhar m hum phol bun k jhar jay gayKya howa jo aj apko tang karte h Ek din apko bin btaye hi guzar jay gay .
"~' DON '~"
"~' 0321-4288314'~"
Wo kuch sunta tu mai
Wo kuch sunta tu mai kahta,mujha kuch or kahna tha..wo pal bhar ko jo ruk jata,mujha kuch or kahna tha..galat fahmi na baton ko barha dala unhe warna,kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujha kuch or kahna tha.!
"~' DON '~"
"~' 0321-4288314'~"
TU NE KAHA ISHQ DHONG
TU NE KAHA ISHQ DHONG HATujhay ishq ho khuda karay , koi tujh ko us se juda karay, terey hont hansna bhul jain teri ankh purnam raha karay, usay dekh kar tu ruk paray, wo nazar jhuka kar chala karay, terey khuwab bhikrain tut kar, tu kirchi kirchi chuna karay, tu gali gali phira karay, tu nagar nagar sada karay, tujhay ishq ho phr yakeen ho usay tasbiyön mein parha karay , mein kahun k k ishq dhong ha, tu nahin nahin kia karay .
"~' DON '~"
"~' 0321-4288314'~"
Tujhe pyar mera satai ga,yadon
Tujhe pyar mera satai ga,yadon k tufan uthai ga,mera nam likh kr kitabo mai,tu logo k dar se mitai ga,zikar mera aksar krne se phele,tu kuch soch kr muskurai ga,batain meri yad ayen gi,jitna tu unhe bhulai ga,tera dil muje jo dekhna b chahe,tu nazro ko phr b jhukai ga,jisne muje itna sataya hy,uska chain b koi churai ga...
"~' DON '~"
"~' 0321-4288314'~"
Mohabat jeet hoti hai magar
Mohabat jeet hoti hai magar yeh har jati.
kabi dil sooz lamhoo say
kabi bekar rasmo say
kabi taqdeer waloo say
kabi majboor kasmoon say
magar yeh har jati hai
kabi yeh phool jaisy hai
kabi yeh dhool jaisy hai
kabi yeh chand jaisy hai
kabi yeh doop jaisy hai
kabi masroor karti hai
kabi yah roog daiti hai
kisi ka chain banti hai
kisi koo rool daiti hai
kabi lay paar jati hai
kabi yeh mar jati hai
mohabat jeet hoti hai magar yeh haar jati hai
S.M.Khan 03216642988.
ye jo zeest ka safer
ye jo zeest ka safer hai,
yeh jo rasta hai mera.
Tum agar na saath doon ge,
To ye kistarha katay ga?
Meri soch ki hado tak,
yeh guman bhi kaisey aey?
Koi pal
Bina tumharay........
Bhala kaisey beet jaey?
Mere paas Tum nahi ho?
Mere paas kab nahi ho?
meri yaad k nagar main
meray khwaab k safar main
meri soch ki tahon tk
meri aankh k bhanwar main
meray dil main
jaan main
tun main
meri hasraton k bun main
meray din ki tairgi main
meri shab ki roshni main
HAAN TUM HE HO!
HAAN!TUM HE HO
meray pass tm nahi ho??
meray pass kab nahi ho?
meri her dua ka mehwar
bas ik aarzoo tmhari
isee aarzoo se aagey
koi raasta nahi hai
TUMHEY KIS QADAR HAI CHAHA
YEH TUMHEY PATA NAHI HAI....0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Raaat dhalne ko ha
saans rukney
Raaat dhalne ko ha
saans rukney ko ha
sath tera chahyea
yehi umeed to ha
tu agar sath chale
khushian chura loon sari
daman may bhar kar teri
apna jeevan udas kar loon ..
or kia chaht ha
or kia tamana ha
kis tarh khuwisho ko apni
teri godd may rakh doon,
bus ik pyar ki nazar ki chha
phir dekh may kis tarah
ye dono jahan paar kar loon !!!
badan me.n aag sii cheharaa
badan me.n aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai
ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai
kahaa.N vo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai
magar kabhii ko_ii dekhe ko_ii pa.Dhe to sahii
dil aa_iinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai
vo saamane hai magar tishnagii nahii.n jaatii
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai
'SaaMer' sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahii
hame.n aziiz hai Khaanaa_Kharaab jaisaa hai
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Tumharay baghair tumharay sang rehnay
Tumharay baghair tumharay sang rehnay laga hoon
khud ko kuch is terhaa say saza dainay laga hoon
Pathar ke terhaa say hoon kabhi ye gumaan bhi tha
zard pattoo ke terhaa say roz bekharnay laga hoon
Kaash mujhey bhi maray hissay ka piyar mil jaye
Issi aas per ab main yaha jeenay laga hoon
Koi nahi marta kissi kay baghair kabhi ye kaha tha
Din raat yehe souch ker ab marnay laga hoon
Tum nay kaha tha koi judda nahi kar sakta humay
Ab yehe duaa main bhi karnay laga hoon
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Tumhare faisalon main kitni sachaii
Tumhare faisalon main kitni sachaii hai
Suna hai duniya kahin aur ab basai hai
Sitam jis lamhe socha ke tumhe bhol gaii
Unhi lamhon tumhari yaad buhat ayi hai
Kaha nahi tha ke tum chor chale jao ge
Meri halaat say bari gehri shanasai hai
Lutf to ye ke akeeli bhi nahi hon mai ab
Ke tum se ziyada bawafaa meri tanhai hai
Khud charag sare bujha diye hain ham ne
Kuch hawaon main bhi sarkashi dar Aaii hai
Mere ird gird aur logh bhi baste hain bohat
Tum se bichre hain to ye baat samjh Aaii hai
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
pehle zakham lagate hain phir
pehle zakham lagate hain phir zakham siya kerte hain,,
yea apno ka kaam hai apne hi kia kerte hain
bher jate hain jab zakham purane aye dost,,
tu phir yea ek naya zakham diya kerte hain,,
yea pehle khud se begana kerte hain hum ko,,
phir khud bi guth guth ke giya kerte hain,,,,,
kabi rekhte hain zakhmoon ke beraber merham payar ka,,
aur kabi vo merham hi chean liya kerte hain,,
apne tu apne hain apno se shikayat kese Saqi,,
apne hi apno ko payar main ruswayi diya kerte hain,..... 0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
mai rahi hoon rah-e-adam ka
mai rahi hoon rah-e-adam ka mujhe zindgi ki fikar nahi
mai ji raha hoon is ghari mujhe aglay pal ki khabar nahi
mai beta hoon hawaon ka mujhe koii bhi pakar na sake
yunhi phirta hoon gali gali mera kahin pe koii ghaar nahi
sochta hoon kiya chal sake gain mere saath ehbab mere
chala hoon aankh band kar ke mujhe rastun ki khabar nahi
mai kho gaya hoon khud say hi ,mujhe apni hi talash hai
chal raha hoon dhoop main mere sar pe koii Aabar nahi
mere pas yunhi baithe raho mere dil pe hath dharo zara
mere dil ko thora karar do meri wehshatun ko sabar nahi
ye kitab dil ki kitab hai isse samajhte hain samajhne wale
ye falsafa hai muhabbtun ka yahan koii zair-o-zabar nahi .............. 0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Yun Milke Mulakat na Ho
Yun Milke Mulakat na Ho saki...
Hontt kampe magar baat na hosaki...
Meri khamosh Nigah har baat keh gayi...
Aur unki shikayat hai ki baat na ho
saki....." 0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
kisi kay ghum main waqar
kisi kay ghum main waqar khona,,
koi sunay ga to kiya kahay ga..
shab bhar jagna or din ko sona..
koi sunay ga to kya kahay ga,,
kashti banwar main duub jati..
to baat tum par kabi na atti,,
mujhay sahil pay la dabona,,
koi sunay ga to kiya kahay ga,,
ji main aya to khub khaila,,
nazar se utara to torr dala,,
kisi ka dil bi kiya hai khilona ,,
koi sunay ga to kiya kahay ga,,
hum ne kaha daro khuda se,,
agar khudai ka darr nahi,,
to hans kar bolay,,
chup raho na,,
KOI SUNAY GA TO KIYA KAHAY GA
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Ye roshni kahan se aati
Ye roshni kahan se aati hai, savera kahan hua hai
Ab tak to mai hi teri hoon, tu mera kahan hua hai
Dour tak faqad ujaale hi to hain meri raahun main
Phir na jaane zehen main andhera kahan hua hai
Saari duniya mere ranj main doobi jaati hai aksar
Dard ka ye rang kabhi, itna gehra kahan hua hai
Har lamha hansi bikherne wale sun zara meri bhi
Ek lamha khushi ka bhi, kabhi tera kahan hua hai
Kaise keh dein ke ye aansun khushi ke hain hum
Lahoo ka rang bhi kabhi, sunehra kahan hua hai
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Roz Taron kee numaaish mein
Roz Taron kee numaaish mein khalal padta hai
Chand paagal hai andherey mein nikal padta hai
Unkee yaad aayee hai saanso zara ahista chalo
dhadkano se bhi Ibaadat mein khalal padta hai...
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Tera dard tha, teri yaad
Tera dard tha, teri yaad thi,
Main jahan raha, main jidher gaya,
Mera din tu yunhi guzar gaya,
Junhi sham hoi main bikhar gaya,
Is abar ka mere yaar say
bara milta julta mizaj hai,
Kabhi tot k baras gaya,
Kabhi berukhi say guzar gaya,
Jab main chhor donga wo gali,
Usay yaad aay gi tub meri,
Dhondhay ga wo gali gali,
Usay milay gi khaber K main mar gaya,
Abi tang hai wo meray naam say,
Mere baad wo aye ga, dosto.
Tumhe ko rook k pochay ga wo,
Wo kahan pe ha?
Wo kidher gaya?
Usay milay gi khaber k mai mar gya......
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
us ko mara halka sa
us ko mara halka sa ahsas to ha
bedard sahi wo mara hamraaz to ha
wo aaye na aaye mara pass laikin
shiddat sa muja us k aintizaar to ha
abhi nahi to kia howa mill hi jaye ga kabhi
mara dill ma us k milna ki aas to ha
pyar ki gawahi mari aankhun sa na mang
barasti nahi aankhain magar dill udass to ha...
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Tum mujhe bhoolnay ki koshish
Tum mujhe bhoolnay ki koshish karogay
lekin bhool na pao gay
haath thaam na sako gay kisi aur ka
gar thaamna chaaho gay
Kisi aur ki ankhon main jhaanko gay
to mera hi aks dikhaayee dayga
mujhse nazrain churaogay to khwab main
bichra shaks hi dikhaaye dayga
tanhayee main chupke se chalee aayeegee meri yaad
tum laakh daaman chudao gay
na choarygee tera saath tum udaas udaas phira karoge
guzray lamho
guzray lamhon main jiya karoge
meri yad tarpayegee lekin
meri yaad main hi raha karoge
ab bhi chorna chaaho to chor do mera saath
lekin yaad rakho chor ker bhi yeh saath chor na sakoge
mujhse to moo mor loge
meri yaad se moo mor na sakoge..!!
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
chahay jitna bulaao gay wapas
chahay jitna bulaao gay wapas na aaon ga mai
aasmaan ki banhoon mai sama jaaon gaa mai
dekhna yiuonhe hanstay khailte yiuonhe muskuratay hooye
kisi rooz chup chaap se chala jaaon gaa mai
na jaane mujhe yaad keray gaa bhe koi ke nahin
na maloom kisi ko yaad aaon ke na yad aaon ga mai
shayad ke hoo jaye meray liye bhe koi aankh pur num
shayad kisi ko ashkoon ka tuhfa day jaaon ga mai
boohat tadpa hoon mai sab ke kareeb reh reh kay
ab door jaa ke sab ko tadpaaon gaaaaa mai
zara zara si baat pe ye rooth jaati hay mujh se
dekhna kisi rooz zindage se rooth jaaon gaa mai
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Tum door ho to kia
Tum door ho to kia hay.
Teri khushbo meray sath hay, Tera lehja meray sath hay,
Teri Batain meri hamsafar, Teri Yadain meri rahguzar.
Tum Door ho to kia hay.
Har Lamha meray pas ho, Meray jenay ki tum aas ho,
Meri zindagi meri justaju, meri dharkan meri arzoo.
Tum door ho to kia hay.
Sath tera saya hay, Dil ko ye samjhaya hay,
Jo apny hain wo bhola nahi kartay, Bhed dil k kbhi khola nai karty.
Tum Door ho to kia hay.......0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
sakoon bhi khawab howa neend
sakoon bhi khawab howa neend bhi hai kam kam phir...
qareeb aanay laga doriyoon ka mousam phir...
bana rahi hai teri yaad mujko silk_e_gohar
paro gae meri palkoon main aaj shabnam phir...
who narm lehjay main kuch keh raha hai phir mujsay
chira hai payar kay komal suroon main madham phir...
tujay manaoon kay apni ana ki baat sunoon
ulaj raha hai miaray faisloon ka raisham phir...
na uski baat main samjoon na who meri nazrain
muaamlat_e_zuban ho chalay hain mabham phir...
who aik lamha kay jab saray rang aik howay
kisi bahanay daikha na aisa sangam phir...
bohot azeez hain aankhain meri usay,laikin
who jatay jatay inhain kar gaya hai purnam phir..
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
MENE USKO TOOT K CHAAHA
MENE USKO TOOT K CHAAHA DIL KA SHEESHA TOOT GAYA
AANKH ABHE LAGNAY NA PAAI THI SAPNA MERA TOOT GAYA
PEHLAY PEHAL TO DIL KO USKI YAADON NAY BEHLAYEY RAKHA
OR PHIR DHEERAY DHEERAY YE YAADON KA SILSILA BHE TOOT GAYA
PEHLAY DIL PHIR USKI DOORI OR PHIR SAANSAIN TOOT GAIEN
IK NAATA KIYA TORA TU NAY, JANAY KIYA KIYA TOOT GAYA ..........0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
In guzarti shamon mein
kesi beqarari
In guzarti shamon mein
kesi beqarari hai,
In guzarti shamoon mein
aik aik pal bhari hai,
Dil ub k lagta hai
hum sey rooth jaye ga,
Tum sey jo aik ta'aluq hai
woh bhi toot jaye ga,
hum udas kitne hain...........
Yun to aik arsay sey
tum sey door rehtey hain,
yun to aik arsay sey
yeh azab sehtey hain,
lakin ub judai ki
talkhiyan naye se hain,
teh-dar-teh,rooh main
khamoshiyan, naye se hain
hum udas kitne hain...........
tum talak pohanchne ka
na tha ikhtiyar pehle bhi,
is qadar hi mushkil tha
intezar pehle bhi.......
bin merey ghar sara
pur-malal rehta hai,
kuch to tum bhi likh bhejo,
kesa haal rehta hai,
tum to jante ho gay
hum udas kitne hain........ 0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
roz sochta houn k kia
roz sochta houn k kia karoun
roz wo hi baat bhool jata houn
tumhe bhoolnay ki kasak karta houn
To apna hi wajood bhool jata houn
Us sheher say na janay ab dil ghabrata hai mera
Jahan say meri galio ka rasta teri ower jata hai
Ajnabi sheher hai basera mera kuch din k lye
Tanha houn mai yahan kuch din kay lye
Apnai sheher ki yaadain hain abhi taza
Phir bhi lot janay ko dil nahi chahata
Jahan say guzer hay tera wahan
ab basnay ko dil nahii chahata
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
log har morh pe ruk
log har morh pe ruk ruk ke sambhalate kyuuN hain
itanaa Darate hain to phir ghar se nikalate kyuuN hain
mai.n na juganuu huuN diyaa huuN na ko_ii taaraa huuN
raushanii vaale mere naam se jalate kyuuN hain
niind se meraa ta'alluq hii nahiin barason se
Khvaab aa aa ke merii chhat pe Tahalate kyuuN hain
mo.D hotaa hai javaanii kaa sambhalane ke liye
aur sab log yahiin aake phisalate kyuu hain
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
lab pe tere iqraar-e-mohabbat sher
lab pe tere iqraar-e-mohabbat sher Gazal kaa lagataa hai
sharm se cheharaa laal gulaabii phuul kamal kaa lagataa hai
dil ko najar se Takaraaye bhii ek zamaanaa biit gayaa
choT magar hai itanii taazaa haadasaa kal kaa lagataa hai
beKhud ho kar mast havaaye.n aise kab laharaatii thii.n
ye jaaduu to halkaa halkaa us aa.Nchal kaa lagataa hai
ham samajhe the bhuul gaye hai.n vo chaahat kaa afasaanaa
aaj magar phir dard saa dil me.n halkaa halkaa lagataa hai...........0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Humein bhi shaam hi sy
Humein bhi shaam hi sy ghair leti hay pareshaani
Parindon ki tarha hum bhi gharo ko lot aaty hein
Tawaqqa thi kay koi lott kar aay gaa jeety jee
Magar ye lotna orr mott aa jaana achaanak hay
Smander sy kabhi poocho tumhein ro kr bataay ga
Koii esa nahin thaa jo talaatum ko samajh paata
Tumhein apnay kisi sukh ka nasha hoga magar yaro
Humein bhi naaz hay apny dukhon ki dilrubaai kaa
Meri deewangi wo dekhh aai hay kay Farhat jee
Tamanna ki musaafat ab musaafat hi nahin lagti
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
ham unheN vo hameN bhulaa
ham unheN vo hameN bhulaa baiThe
do guneh-gaar zahar khaa baiThe
haal-e-Gham kah ke Gham baRhaa baiThe
teer maare the teer khaa baiThe
aandhioN jaao ab karo aaraam
ham Khud apnaa diyaa bujhaa baiThe
jee to halkaa hu’aa magar yaaroN
ro ke lutf-e-Gham gaNvaa baiThe
be-sahaaroN kaa hauslaa hii kyaa
ghar meN ghabraaye, dar pe aa baiThe
uTh ke ek be-vafaa ne de dii jaan
rah gaye saare baa-vafaa baiThe
jab se bicchRe vo, muskuraaye na ham
sabne chheRaa to lab hilaa baiThe
hashr kaa din abhii hai duur “Khumar”
aap kyuN zahidoN meN jaa baiThe
0300 2711 588
(~ Tµm ßîñ ~)
SaaMer +92 300 2711 588
Tum takaluf ko b ahkhlas
Tum takaluf ko b ahkhlas samajtay ho Fraz,
Dost hota nahe her haat milanay wala.